Magan Kis Dhun Mein Apne Apko Din Raat Rakhta Hai


Sad Urdu Poetry

مگن کس دھن میں اپنے آپ کو دن رات رکھتا ہے
نجانے آج کل وہ کیسے معمولات رکھتا ہے

اثاثہ اس کے کمرے کا ہیں کچھ مغموم آوازیں
درازوں میں مقفل ہجر کے نغمات رکھتا ہے

 ہماری گفتگو کس روز کس منزل پہ پہنچی تھی
بلا  کا  حافظہ ہے , یاد وہ ہر بات رکھتا  ہے



اگر نالاں ہوں میں اس سے تو وہ بھی خوش نہیں مجھ سے
میرے جیسے ہی وہ میرے لیے جذبات رکھتا ہے



بہت گہرا ہے ‘اس کی ظاہری حالت پہ مت جانا
وہ سینے میں پہاڑوں سے بڑے صدمات رکھتا ہے



اسے کیا چاند سے بھی کوئی دلچسپی نہیں ساجد
 ...وہ اپنی کھڑکیوں کو بند کیوں دن رات رکھتا ہے


Magan Kis Dhun Mein Apne Apko Din Raat Rakhta Hai
Na Janey Aaj Kal Woh Kese Mamoolaat Rakhta Hai

Asasa Us K Kamray Ka Hein Kuch Mafhoom Awazein
Darazon Mein Maqfal Hijr K Nagmaat Rakhta Hai

Hamari Guftugoo Kis Roz Kis Manzil Pay Pohnchi Thi
Bala Ka Haafiza Hai, Yaad Woh Har Baat Rakhta Hai

Agar Nalaan Hoon Mein Us Se Tou Woh Bhi Khush Nahi Mujhse
Merey Jese He Woh Merey Liye Jazbaat Rakhta Hai

Bohat Gehra Hai , Uski Zaahiri Halat Pay Mat Jana
Woh Seenay Mein Paharron Se Barray Sadmaat Rakhta Hai

Usay Kia Chaand Se Bhi Koi Dilchaspi Nahi Sajid
Woh Apni Khirrkiyon Ko Band Kiun Din Raat Rakhta Hai...


 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments