Hamari Aankh Se Dil Tak Koi Gali Nikley

Dil Best Poetry

لبوں سے لفظ جھڑیں آنکھ سے نمی نکلے
کسی طرح تو میرے دل سے بے دلی نکلے

میں چاہتا ہوں پرندے رہا کیے جائیں
میں چاہتا ہوں تیرے ہونٹ سے ہنسی نکلے

میں چاہتا ہوں کوئی مجھ سے بات کرتا رہے
میں چاہتا ہوں کہ اندر کی خامشی نکلے

میں چاہتا ہوں مجھے طاقچے میں رکھا جائے
میں چاہتا ہوں جلوں اور روشنی نکلے

میں چاہتا ہوں تیرے ہجر میں عجیب ہو کچھ
میں چاہتا ہوں چراغوں سے تیرگی نکلے

میں چاہتا ہوں تجھے مجھ سے عشق ہو جائے
میں چاہتا ہوں کہ صحرا سے جل پری نکلے

میں چاہتا ہوں مجھے کوئی درد دان کرے
میں چاہتا ہوں کہ آنسو ہنسی خوشی نکلے

میں چاہتا ہوں کہ یہ راہ بحال ہو پھر سے
...ہماری آنکھ سے دل تک کوئی گلی نکلے


Labon Se Lafz Jharrein Aankh Se Nami Nikley
Kisi Tarha Tou Mere Dil Se Bay-Kali Nikley

Mein Chahta Hoon Parindey Rehaa Kiye Jaen
Mein Chahta Hoon Tere Hont Se Hansi Nikley

Mein Chahta Hoon Koi Mujh Se Baat Karta Rahey
Mein Chahta Hoon Ke'h Andar Ki Khamshi Nikley

Mein Chahta Hoon Mujhe Taaqchay Mein Rakha Jaey
Mein Chahta Hoon Jaloon Aur roshni Nikley

Mein Chahta Hoon Tere Hijr Mein Ajeeb Ho Kuch
Mein Chahta Hoon Charagon Se Teergi Nikley

Mein Chahta Hoon Tujhe Mujhse Ishq Ho Jaey
Mein Chahta Hoon Ke'h Sehra Se Jal-Pari Nikley

Mein Chahta Hoon  Mujhe Koi Dard Daan Karay
Mein Chahta Hoon Ke'h Aansoo Hansi Khushi Nikley

Mein Chahta Hoon Ke'h Yeh Raah Bahaal Ho Phir Se
Hamari Aankh Se Dil Tak Koi Gali Nikley ............

 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments