Ab Tou Mein Din K Ujaaley Se Bhi Dar Jata Hoon


Best Urdu Ghazals

کبھی میں عالم امکاں سے گزر جاتا ہوں
اور کبھی جسم کی دلدل میں اتر جاتا ہوں

یہ بھرا شہر کبھی مجھ میں سمٹ آتا ہے
کبھی میں شہر میں ہرگام بکھر جاتا ہوں

شہر سے رہتی ہے اک جنگ مسلسل دن بھر
شہر جب ہانپنے لگتا ہے تو گھر جاتا ہوں

اس کشاکش میں ہی ملتا ہے نشاں ہونے کا
جب بھی تکمیل کا احساس ہو، مر جاتا ہوں

لے اڑی روشنی ہی جرات بینائی مری
اب تو میں دن کے اجالے سے ڈر جاتا ہوں

اپنے ذرے ہی نظر آتے ہیں تا حد نظر
اک ذرا سر کو جھکاؤں تو بکھر جاتا ہوں

ایک اک آنکھ میں اپنی ہی کہانی دیکھوں
اپنا چہرہ ہی نظر آتا ہے جدھر جاتا ہوں

شہر سجتے ہیں،گزرگاہیں چمک اٹھتی ہیں
اپنے ہی خون میں ڈوبوں تو سنور جاتا ہوں

شام کھلتا ہی نہیں موت کا ہنگام ہے کیا
.... وقت رک جاتا ہے یا میں ہی ٹھہر جاتا ہوں 

Kabhi Mein Aalam-E-Imkaan Se Guzar Jata Hoon
Aur Kabhi Jism Ki Daldal Mein Utar Jata Hoon

Ye Bhara Shehar Kabhi Mujh Mein Simat Aata Hai
Kabhi Main Shehar Mein Har Gaam Bikhar Jata Hoon

Shehar Se Rehti Hai Ek Jang Musalsal Din Bhar
Shehar Jab Haanpne Lagta Hai Tou Ghar Jata Hoon

Is Kasha-kash Mein He Milta Hai Nishaan Honey Ka
Jab Bhi Takmeel Ka Ehsaas Ho , Mar Jata Hoon

Le Urri Roshni He Jurrat-E-Beenaayi Meri
Ab Tou Mein Din K Ujaaley Se Bhi Dar Jata Hoon

Apne Zarrey  He Nazar Aatey Hein Taa Hadd-E-Nazar
Ek Zara Sar Ko Jhukaao'n Tou Bikhar Jata Hoon

Aik Ik Aankh Mein Apni He Kahani Dekhon
Apna Chehra He Nazar Aata Hai Jidhar Jata Hoon

Sheher Sajaate Hein, Guzar-Gaahein Chamak Uthti Hein
Apne He Khoon Mein Doobo'n Tou Sanwar Jata Hoon

Shaam Khulta He Nahi Mout Ka Hangaam Hai Kiya
Waqat Ruk Jata Hai Ya Mein He Thehar Jata Hoon...



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Comments