Bana Hua Hai Lakeeron Ka Jaal Hathon Mein

Lakeeron Ka Jaal

بنا ہوا ہے لکیروں کا جال ہاتھوں میں
نصیب ڈال رہا ہے دھمال ہاتھوں میں
  
سوال روند رہے ہیں میرے جوابوں کو
جواب لے کے کھڑے ہیں سوال ہاتھوں میں

پھر اس کے بعد میں ہاتھوں کو اپنے چوموں گا
بسا رہا ھوں تیرے خد و خال ہاتھوں میں

کسی کی کوزہ گری کا کمال کچھ بھی نہیں
دیکھا رہے ہیں یہ کوزے کمال ہاتھوں میں

 سجا لیا ہے تمہارا عذاب ماتھے پر
چھپا لئے ہیں تمہارے وبال ہاتھوں میں

وہ ایک لمس گریزاں فریب تھا سو تھا
....کیا ہے ابھی اس نے انتقال ہاتھوں میں

Bana Hua Hai Lakeeron Ka Jaal Hathon Mein
Naseeb Daal Raha Hai Dhmaal Hathon Mein

Sawal Rond Rahey Hein Merey Jawabon Ko
Jawab Lay K Kharray Hein Sawaal Hathon Mein

Phir Us K Baad Hathon Ko Apne Choomu Ga
Basa Raha Hoon Teray Khad-O-Khaal Hathon Mein

Kisi Ki Kooza Gari Ka Kamal Kuch Bhi Nahi
Dikha Rahey Hein Yeh Koozay Kamaal Hathon Mein

Saja Liya Hai Tumhara Azaab Mathay Par
Chhupa Liye Hein Tumharey Wabaal Hathon Mein

Woh Aik Lums-E-Guraizaan Faraib Tha So Tha
Kia Hai Us Ne Abhi Intaqaal Hathon Mein....
  
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments