Dil Udaas Rakhney Ko Uski Chah Kaafi Hai

     
Chah Kaafi Hai
     
    زندگی کے میلے میں ، خواہشوں کے ریلے میں
    تم سے کیا کہیں جاناں ، اس قدر جھمیلے میں
    وقت کی روانی ہے ، بخت کی گرانی ہے
    سخت بے زمینی ہے ، سخت لامکانی ہے
    ہجر کے سمندر میں
    تخت اور تختے کی ایک ہی کہانی ہے
    تم کو جا سنانی ہے
    بات گو ذرا سی ہے
    بات عمر بھر کی ہے
    عمر بھی کی باتیں کب دو گھڑی میں ہوتی ہیں!
    درد کے سمندر میں
    ان گنت جزیرے ہیں،بے شمار موتی ہیں
    آنکھ کے دریچے میں تم نے جو سجانا تھا
    بات اس دیئے کی ہے
    بات اس گلے کی ہے
    جو لہو کی خلوت میں چور بن کے آتا ہے
    لفظ کی فصیلوں پر ٹوٹ ٹوٹ جاتا ہے
    زندگی سے لمبی ہے،بات رت جگے کی ہے
    راستے میں کیسے ہو ؟
    بات تخلیئے کی ہے
    تخلیئے کی باتوں میں گفتگو اضافی ہے
    پیار کرنے والوں کو اک نگاہ کافی ہے
    ہوسکے تو سن جاؤ ایک دن اکیلے میں
    ....تم سے کیا کہیں جاناں اس قدر جھمیلے میں


Zindagi K Mailey Mein , Khuwahishon K Railey Mein
Tum Se Kia Kahen Jaana , Is Qadar Jhamailey Mein
Waqt Ki Rawani Hai , Bakht Ki Girani Hai
Sakht Be-Zameeni Hai , Sakht La-Makaani Hai
Hijr K Samandar Mein
Takht Aur Takhtey Ki Aik He Kahani Hai
Tum Ko Ja Sunani Hai
Baat Go Zara Si Hai
Baat Umar Bhar Ki Hai
Umar Bhar Ki Baten Kab Dou Gharri Mein Hoti Hein
Dard K Samandar Mein
Un-Ginat Jazeeray Hein , Be-Shumaar Moti Hein
Aankh K Dareechay Mein Tum Ne Jo Sajana Tha
Baat Us Diye Ki Hai
Baat Us Gilay Ki Hai
Jo Lahoo Ki Khalwat Mein Chor Ban K Aata Hai
Lafz Ki faseelon par Toot TooT Jata Hai
Zindagi Si Lambi Hai, Baat rat-Jagay Ki Hai
Rastey Mein Kesay Ho ?
Baat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baton Mein Guftugoo Izaafi Hai
Piyar Karney Walon Ko Ik Nigah Kaafi Hai
Ho Sakey Tou Sun Jao Aik Din Akelay Mein
Tum Se Kia Kehen Jaana Is Qadar Jhamailey Mein....


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It.

Comments