Dil Mein Larzaan Hai Tera Shola-e-Rukhsaar Ab Tak

Meri Manzil Mein

دل میں لرزاں ہے ترا شعلۂ رخسار اب تک
میری منزل میں نہیں رات کے آثار اب تک

پھول مُرجھا گئے، گُلدان بھی گِر کر ٹوٹا
کیسی خوشبو میں بسے ہیں در و دیوار اب تک

حسرتِ دادِ نہاں ہے مرے دل میں شاید
یاد آتی ہے مجھے قامتِ دلدار اب تک

وہ اُجالے کا کوئی سیلِ رواں تھا، کیا تھا؟
میری آنکھوں میں ہے اک ساعتِ دیدار اب تک

تیشۂ غم سے ہوئی روح تو ٹکڑے ٹکڑے
...کیوں سلامت ہے مرے جسم کی دیوار اب تک


Dil Mein Larzaan Hai Tera Shola-e-Rukhsaar Ab Tak
Meri Manzil Mein Nahi Raat K Aasaar Ab Tak

Phool Murjha Gaey Guldaan Bhi Gir Kar Toota
Kesi Khushbu Mein Basey Hein Dar-O-Diwaar Ab Tak

Hasrat-e-Daad-e-Nihaa'n Hai Meray Dil Mein Shayad
Yaad Aati Hai Mujhe Qamat-e-Dildaar Ab Tak

Woh Ujaley Ka Koi Sail-e-Rawaa'n Tha, Kia Tha?
Meri Aankhon Mein Hai Sa'at-e-Didaar Ab Tak

Teesha-e-Gham Se Hui Rooh Tou Tukrrey Tukrrey
Kiun Salamat Hai Meray Jism Ki Diwaar Ab Tak....


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.