Yeh Hijr K Hathon Mein Lakeeron Ki Tarha Hai

Sunsaan Jazeeron Ki


‫یہ ھجر ،کہ ھاتھوں میں لکیروں کی طرح ھے،
اچھا ھے میرا دل بھی اسیروں کی طرح ھے

اک میں ھوں ھواؤں کی صداؤں کا مسافر،
اک تو ھے جو سوچوں پہ سفیروں کی طرح ھے

ھر شخص ھے نفرت کے تقاضوں کا پجاری
مدت سے محبت بھی فقیروں کی طرح ھے

تو دل میں بسا ھے ! یہ عجب ھے کہ میرا گھر
اجڑے ھوئے بےربط جزیروں کی طرح ھے

دیکھی ھے وفا تائب گلیوں میں شکستہ
 .. .. ویسے تو تیرا شہر امیروں کی طرح ھے

Yeh Hijr K Hathon Mein Lakeeron Ki Tarha Hai
Acha Hai Mera Dil Bhi Aseeron Ki Tarha Hai

Ik Mein Hoon Hawao'n Ki Sadao'n ka Musafir
Ik Tu Hai Jo Sochon Pay Safeeron Ki Tarha Hai

Har Shakhs Hai Nafrat K Taqazon Ka Pujari
Muddat Se Mohabbat Bhi Faqeeron Ki Tarha Hai

Tu Dil Mein Basa Hai Yeh Ajab Hai K Mera Ghar
Ujray Huey Be-Rabt Jazeeron Ki Tarha Hai

Dekhi Hai Wafa Taaib Galyon Mein Shikasta
Waisay Tou Tera Shehar Ameeron Ki Tarha Hai ..



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments