Poochte Ho Tou Suno Kese Basar Hoti Hai,,,,,,,


Raat Khairaat Ki

پوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے
رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے

سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب!
دل ہی دُکھتا ہے نہ اب آستیں تر ہوتی ہے

جیسے جاگی ہوئی آنکھوں میں چبھیں کانچ کے خواب
رات اس طرح دوانوں کی بسر ہوتی ہے

غم ہی دشمن ہے مرا، غم ہی کو دل ڈھونڈتا ہے
ایک لمحے کی جدائی بھی اگر ہوتی ہے

ایک مرکز کی تلاش ایک بھٹکتی خوشبو
کبھی منزل کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے



Poochte Ho Tou Suno Kese Basar Hoti Hai
Raat Khairaat Ki, Sadqe Ki Sehar Hoti Hai

Saans Bharne Ko Tou Jeena Nahi Kehte Yaa Rab
Dil He Dukhta Hai Na, Ab Aasteen Tar Hoti Hai

Jese Jagi Hui Aankhon Mein Chubhay Kanch K Khuwab
Raat IS Tarha, Dawano Ki Basar Hoti Hai

Gham He Dushman Hai Mera, Gham He Dil Dhoondta Hai
Aik Lamhay Ki Judai Bhi Agar Hoti Hai

Aik Markaz Ki Talash Aik Bhatakti Khushbu
Kabhi Manzil, Kabhi Tamheed-E-Safar Hoti Hai...



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.