Shamil Tha Yeh Sitam Bhi, Kisi K Naqaab Mein..........


Titli Mili Hunoot

شامِل تھا یہ سِتم بھی کسی کے نصاب میں
تِتلی ملی حنُوط پُرانی کتاب میں

دیکھوں گا کِس طرح سے کسی کو عذاب میں
سب کے گناہ ڈال دے میرے حساب میں

پھر بے وفا کو بحرِ محبت سمجھ لیا
پھر دل کی ناؤ ڈُوب گئی ہے سرَاب میں

پہلے گلاب اُس میں دِکھائی دیا مجھے
اب وہ مجھے دِکھائی دیا ہے گلاب میں

وہ رنگِ آتشیں، وہ دہکتا ہوا شباب
چہرے نے جیسے آگ لگا دی نقاب میں

بارش نے اپنا عکس کہیں دیکھنا نہ ہو
کیوں آئینے اُبھرنے لگے ہیں حباب میں

گردش کی تیزیوں نے اُسے نُور کر دیا
مٹی چمک رہی ہے یہی آفتاب میں

اُس سنگدل کو میں نے پکارا تو تھا عدیم
.....اپنی صدا ہی لوٹ کر آئی جواب میں

Shamil Tha Yeh Sitam Bhi Kisi K Nisaab Mein
Titli Mili Hunoot Puarni Kitaab Mein

Dekhon Ga Kis Tarha Se Kisi Ko Azaab Mein
Sab K Gunah Daal De Mere Hisaab Mein

Phir Be-Wafa  Ko Behr-e-Mohabbat Samajh Liya
Phir Dil Ki Naao Doob Gaee Hai Saraab Mein

Pehle Gulaab Us Mein Dikhaee Diya Mujhe
Ab Woh Mujhe Dikhai Diya Hai Gulaab Mein

Woh Rang-e-Aatasheen,Woh Dehakta Hua Shabaab
Chehre Ne Jese Aag,  Lagadi Naqaab Mein

Barish Ne Apna Aks, Kaheen Dekhna Na Ho
Kiun Aaeinay Ubharne Lage Hein Habaab Mein

Gardish Ki Taiziyon Ne Usay Noor Kar Diya
Matti Chamak Rahi Hai, Yehi Aaftaab Mein

Us Sangdil Ko Mein Ne Pukara Tou Tha Adeem
Apni Sada He Lout Kar Aaiee Jawab Mein.........


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


Comments